Saturday, September 14, 2013

Delhi rape case me Mout yani fansi jald saza ek misal

Delhi rape case me jis tarha jald saza ka faisal sunaya gaya our wo bhi maut ki saza ka is se ek misal qyam hui he. ke insaf agar waqt par mile to wo insaf hota skoon dene walo our mujrimo ko sabaq sikhane wala hota hai.
ek bat bhut important he wo ye ke is case ke alawa kai case aise hin jo isse pehle se chale aa rahe hain our gambhir bhi hain lakin un me abtak faisla nahi hua. is rape case me media ka positive role bhut ahm he.
hume our media ke zimmedaron ko chaiye ke wo is ke alawa our bhi rape case ke mamle me dilchaspi lete hue unke jald our sahi faisle ki koshish karin.
Kai bar court ke samne sboot ke na anye par mujrim bach jate hai. iske liy zaroori hai ke high technology ka istemal karte hue sabooto ko jutaya jaye our agr mulzim ne jurm kiya ho to use us jurm ki saza zaroor milna chaiye.
Humare desh me isse pehle mout ki saza ka virodh bhi hota raha he. lakin delhi ke 16 December rape kase ke bad mout ki saza ki himyat me logo ka sadkon par ana is jurm ki sangginta ko sabit karta hai.
Saudi Arab me rape ki saza mout hai is liye wahan is tarha ke jurm bhut hi kam hote hain.
16 Dec.2012 ke is case me victim ko death ki saza ke baad bhut ummid he ke kuch had tak rape ke mamle me kami ayegi.

No comments:

Post a Comment